Tuesday, December 27, 2016

teri gaddari mein ae sanam
apni bewafai se pyaar kar gaye
tere jhoot ke samundar mein doobe aise
apni majboori ke kadradaan ban gaye

Thursday, November 10, 2016

mohabbat ke mukam aur bhi hai

rishto ke aage 
mohabbat ke mukam aur bhi hai
ghar, sindoor ke aage
pyaar ke nishaan aur bhi hai

naam nahi 
lekin khwaisheyin toh judi humari
hakikat se pare sahi
ek duniya toh bani humari

soch rahi hoon--
teri meri iss duniya ko
nikharu thoda aur
toh kuch lavz tum likho
kuch lavz main
beet jaaye yun hi zindagani humari

Wednesday, September 14, 2016

wo hi silsila

ek baar phir
wo hi silsila chede
aa ke mohabbat ki garmi mein
saalo se thandi ruh senke

teri saanso ki leh mein
meri saanse chale
itni nazdikiyan phir
chahe sirf teri nighaye badhaye

meri khwashyein saari
iss ek pal mein sama jaaye
kaash ke tu aise dekhe
ki phir ek baar wo hi silsila chid jaaye

Monday, January 18, 2016

Of ethereal mornings



Young sun rays pouring in from the window
Sieved through leaves of the mango tree outside
Softened by the taming fabric of yellow curtains
Flooding white marble floor with warmth and light.

Window pane flora in full glory
Leaves swaying to the rhythm of gentle breeze
Pink and white periwinkles
Brightly smiling to the unfolding morning.

Little sparrows alight at the window
Announcing their arrival with a chirp and flutter
Wiggling wings in a shallow water pot
Before flying away with mouthful of millets.

Water tap running at the basin
Rustling of turning newspaper pages
Rice cooker whistling and
Clunking of steel vessels in the kitchen.
Sounds that signal maturing
Of this ethereal morning.

Wafts of incense and ginger chai
Aromas of rice and spice and
Soapy freshness of shampoos and creams
Scents that fill the morning
At my house.

These scenes
These sounds
These scents
Let me breathe again in a space
Painted by them.